1. Yeh kya Majara hai ,
Yeh Kya Justaju Hai ,
Gam-e-Mohabbat hai…\
Ya Mohabbat-e-gam hai?
2. Jindagi Yunhi Gawaan rahe hum-tum,
Chaand bhi bechein hai Guft-e-gu ke liye.
3. khataa ho to Kafaa hona tera,
Aapka ruthna, hamara manaana, wafaa ka hi to ishaaraa .
4. Hasratein bandha kari pal-pal hamne,
nind mein hi raat guzar gayee unki.
5. Palatkar dekhle pyar se ikbar use E-gafil,
Raftaar-e-jindagi mein phir didaar ho na ho.
6. Saath chale the Saath dene Ka Vaada Kar Kar,
Haath Chuma Tha Kisine Haathon mein Hamara haath lekar,
Raftar-e-zindagi mein woh sab kuchh bhul chale.